YA ALI MADAD SMS ☆901《》1000

YA ALI MADAD SMS ☆901《》1000
AFSER ALI

         901


ek "ZAY" li zaboor se
ek "YAY" li yaqeen-e-youm-e-yawar-e-zahoor se
ek "NOUN" li nabi (s.a.w.w)k noor se
ek "BAY " li fatima (a.s) k bab-e-shaoor se
ek ek hurf deen-e-nabi ka dawaam tha
sab kuch mila k dekha to "ZAINAB" ka naam tha

        902


14 Sadiyon Se Aqeedat Ka Safar Jaari Hai
Zindagi Aal e Mohammad Se Wafadari Hai
Hum Ko Tasleem Namazon Ki Fazilat Magar
Bint e Zehra Ki Tamanna Ye AzZadari Hai

        903


JAb Moharram k Julooson Py Nazar Jaati HAi
Khushbu e Farsh e AzZa Dil MAi Utar Jati HAi
Hath Kaatay Thay ALAMDAR K Jin Logon Ny
Un Ki Aulaad Alam Dekh KAr Dar Jati HAi

        904



IMAM HUSSAIN(A.S) farmatay hain : HUM wo hain jin kay pass kul-kitab ka

ilm hy oer iss ka bayan majood hy oer HAMARAY elawa sari makhloqat main

koi asa nahi hy iss leay kh HUM israr-e-ILLAHIYA kay ehl hain.

{ Ref : Manaqib ibn Shahir-e-Ashoob }

        905


Jab Main Dastarkhwan Per Do Rang K Khane Dekhta Hun To
Main Laraz Jata Hun K Aj Phir Kisi Ka Haq Mara Gaya."
_
Mola-e-Kainat Hazrat Ali Ibne AbuTalib 'a.s'

        906


Qaim hy jis ki dil pe HUKUMAT tum hi tou ho,
MOLA KHUDA ki Akhri HUJAT tum hi tou ho,

Tere siwa wo koun hy Aye 12ven ALI(A.S)
Jis k liye ruki hai QAYAMAT tum he tou ho,

Aye ASKARI k Chand MUHAMMAD ki Aarzoo,
Qaim hy jis k dum se IMAMAT tum hi tou ho_

"AL AJAL YA SAHIB-uz- ZAMAANa.s

        907



LAFZ "SHIA" KA MATLAB HOTA HAI ALI A.S KA NOKAR
IS LYE QUDRAT NEY HUMEIN DALA ALI A.S K DAR PER

HUM TADAD MEIN KAM HAIN MAGAR TAQAT KA KHAZEENA HAIN
HUM KYUN DAREIN ALI A.S HAIN HUMARE SIR PER
...

KOI KEHTA HAI KAY SHIA HAZIR JAWAB HOTY HAIN
ARY HUM TO JO KEHTE HAIN WO ALI A.S KI SHEH PER


HUMARA REHBAR MOJEEZ NUMA,SHER-E-KHUDA
HUM NAHI REHTE KBI KISI AERY GHERY SE DAR KAR


DUSHMAN BOHAT AYE MOLA SE LARNAY K LYE MAGAR
HOGAYE WASEELY JAHANNUM BE-CHARAY MAR KAR


LUTF ATA HAI BOHAT JB SAMNAY WALA SIR PHERA NIKLAY
HUM KO MOLA KAY LIYE ATA HAI MAZA US SEY LAR KAR


AZMAT-E-DEEN-E-MUSTAFA ZAINAB(S.A)
HUBAHU SHAKL-E-FATIMA(S.A) ZAINAB(S.A)

AY AZAADAAR-E-SHAH JEETE RAHO
HUMKO DETI HAI YE DUA ZAINAB(S.A)

KAB KA ISLAM KHO CHUKA HOTA
GHAR KA DETI NA AGAR PATAA ZAINAB(S.A)

KARKE QURBAAN GHAR KA GHAR APNA
TUMNE KAABA BACHA LIYA ZAINAB(S.A)

AUR KOI SUNE SUNE NA SUNE
SUN RAHI HAI MERI SADA ZAINAB(S.A)

WO JO KAABE NE ORH RAKHI HAI
ASR MEIN HAI TERI RIDA ZAINAB(S.A)

MAIN JO KARTA RAHA SANA-E-HUSSAIN(A.S)
MUJKO DETI RAHI DUA ZAINAB(S.A)

            908

ALI K Kamalat Dakh Kar...
Izzat Khuda B Deta Hai ...Oqat Dakh Kar..
Milti Jo Asay Weson Ko.. Tu Hilti Na Zulfiqar...
Talwar RAB Nay Dee Hai... Magar Hath Dakh Kar..

           909


Mustahiq Hun Main Agr Ya RAB Kisi iNaam Ka
Wasta Tuj Ko SHAHEED'e KARBALA K Nam Ka

KhuLd Say PheLay Mujhay Aik Moqa Kar Aata
Hath Mai JOTA Ho Or Sir yazeed'e Shaam Ka

           910


RASOL(S.A.W.W) ny frmya kh :::

Jo hamaray AHLY-BAYAT(A.S) main sy kisi kay sath bhe acha bartaou karay

ga MAIN(S.A.W.W) roooz-e-qayamt oss ka badla zaroor doun ga.

{ Ref ::: Kafi, Tehzeeb, Kanzul-Amal }

           911


ALi ka Zikar meri Zaat ki Pehchan hy,
iS bin meri Zindagi ka Maqsad weeran hy,

AQeedat Se Leta hoon PANJTAN ka naam,
Bus Yehi baat meri JANNAt ka Saman hy..

       

  912


Ya ABBAS(a.s)
A....ALAMDAR_e_ LASHKAR_e_HUSAIN..
B....BAB_e_HAWAIJ..
B....BAWAFA BHAI..
A....ARZOO_e_ALI..
...S...SAQQA_e_SAKINA..

           913


Hai Gulshan e Nabi Ko Tera Intezar Aa
Lootay Huway Chaman Ki Mehakti Bahar Aa
DAst e Khizaan Ki Zad Mai Hai Kaliyon K Rang o Boo
Ban k Bahar Rehmat e Parwardigaar Aa

           914


aSHAAM aSHAAM

Main Dekhta Hoon Wahan Jub Sajy Hoy Bazaar!
Tu Yaad ATi Hai Tashheer itrat-e-athaar!
Ali Ki Betiyan sar Barahna Majmay Ageyar!
sono ye parda-e-Gaibat se keh rahe Hain Imam
Main qalb -e-abid -e-Moztar Ko Yaad Karta Hoon
Main Roz Shaam K Bazaar Se Guzarta Hoon!

           915


"Is Aasrey Pe Dil-e-Beqarar Zinda Hai,
Koi Tou Ashqo'n Ka Umeedwar Zinda Hai,
Gham-e-Hussain Ko Biddat Zara Sambhal K Kaho,
Abhi Hussain Ka Ek Sogwaar Zinda hai.

           916


"Muntazir hum hi nahin hain, muntazir hain Fatima (S.A),
Ab bhi Bait-ul-Huzn mein ro rahi hain Syeda (S.A);
Roknay Bibi (S.A) kay aansoo, aa bhi jaao jald, Imam (A.S),
Qatil-e-Mohsin (A.S) ko apnay haath say denay saza."

           917


Hijab-e-Ghaib Utha Dijiye Khuda K Liye
Jabeen Tarasti Hai Bas Teray Naqsh-e-Pa k Liye

Yazid-e-Waqt Se Keh Dy Zara Koi Ja Kr
Hy Ek Hussain a.s Abhe Or Teri Fana K Liye

Zahoor Aap Ka Dekhu'n Yehi Dua Mangi
Uthay Hain Hath Jo Meray Kabhe Dua K Liye

           918


"Itni c bus hikayat-e-EHD-e-ZAMANA hai,
HUJJAAT KHUDA ki asal hai baqi fasana hai,
Ghairoon ne jo IMAM banaye thay chal basay,
Zinda faqat hamara IMAM-E-ZAMANA(a.s) hai .

           919


Bun Kar Hussain Aie Ya Sahibuzaman,
Abh Tu Niqab Uthaie Ya Sahibozaman(A.S)

           920


Areeza! Mola Mehdi(A.S),

Iztiraab Qalb Jo Bhi Hai Wahi Likha Kro!
Chasham K Awaan Ki Halat Sabhi Likha Kro!
Apna Kya Likhna Hai Wo Kis Baat Se Hain Baikhabar!
App Kaise Hain?Kabh Ayen Gai ?Yahi Likha Kro!

           921


Qaim e Aal e Mohammad K Qasida Likhain
Aaiye 12Wain Haider Ko Areeza Likhain
Kaghazi Na'o Areezay Ko Bana Kar Bhejain
Ashk Ki Mohar Lifafay Pe Laga Kar Bhejain.

           922


Ay Mere Mazhar e Deen, Mazhar e Khaliq Aaja
SidQ Ki Ab Hai Zarurat Mere Sadiq Aaja
Log Saamit Ko Samjh Bethay Hain Kaafi Mola a.s
Pardah Ghaibat Ka Utha K Mere NatiQ Aaja

           923


Saher Qareeb Andheron Ko Door Hona Hai
Zaleel Dusman e Deen Ko Zaroor Hona Hai
Bata Rahi Hain Ye Tabdiliyan Zamanay Ki
Kisi Wali Ka Yaqenan Zahur Hona Hai.

           924


Dua e Mola Imam MEHDI a.s

Mere Mola Aao k Mudat Hui Hai
Sitam Zalimo'n k Uthatay Uthatay

Tere Dushmano'n Ki Guzarti Hain Naslain
Tere Dosto'n Ko Sata'tay Sata'tay

Laeno'n Ne Hum Par Mazalim Woh Dhaye
Jawan Saal Lasho'n K Tukray Uthaye
Chalay Hain Shahadat Ka Sehra sajaye
Woh Shadi Ka Sehra Saja'tay Saja'tay

Jo Behnay Hain Zinda To Bhai Nahi Hain
Maa Baap Baqi To Beta Nahi Hai
Hain Moujood Betay To Saaya Nahi Hai
Jigar Kampta Hai Bata'tay Bata'tay

Jahan Har Lamhay Thi Khushi Muskurati
Wahan Ab Hai Ronay Ki Aawaz Aati
Lipat'tay Hain Ma'on Se Masoom Bachay
Guzar Jati Hai Shab Sula'tay Sula'tay

Sada Huq Ki aati Hai Ae Haider Yeh
K Kasrat Pe Qillat Ka Ghalba To Dekho
Mita Na Saka Ek Mazloom Shah Ko
Inhay Sadiyaan Guzar Gaen Mita'tay Mita'tay

Mere Mola aao K Muddat Hui Hai
Sitam Zalim'on K Utha'tay Utha'tay

" Al'Ajal Ya Waris e Deen'Ullah "

           925


Bint e Ali , Ali ki tarha sarfaraz he.
ZAINAB s.a Khuda ki shan Muhammad ka naaz hain.

ZANAIB s.a raza e sabr kijaiy Namaz he.
ZAINAB S.A NABI s.a.w.w ke Deen ki Ummar e daraz he.

           926


Sajda hai,Tilawat hai Azadari-e-SHABEER(a.s)
Mairaaj-e-ibadat hai Azadari-e-SHABEER(a.s)

Islam ki khidmat hai Azadari-e-SHABEER(a.s)
...Haan Ajr-e-Risalat hai Azadari-e-SHABEER(a.s)
...
Sirf sajdon se to jannat ki hawa bhi Na miley gi,
Jannat ki zamanat hai Azadari-e-SHABEER(a.s)

Main tu gam-e-sarwer k lian khaliq howa hun,
Meri tu Ibadat hai Azadari-e-SHABEER(a.s)

           927


Shabbir Tera Pehla Azadaar Chala Hai,
Kunbay Ko Lay K Abid e Bemaar Chala Hai,

Hai Qafla Aseeron Ka ounton Ki Pusht Per,
Zanjeeron Main Jakra Hua Salaar Chala Hai,
......
Haq Zahra K Jis Takht Se Jhutlaya Gaya Tha,
Zainab Ko Lay K Phir Usi Darbar Chala Hai,

Karrar Ka Pota Hai Ye Tanha Hi Bohat Hai,
Darbar Hilane Ko Ye Karrar Chala Hai

           928


Aey Logo mughy tmhary bary main sab sy ziada 2 baton ka dar hy.
Ek Khowaheshon ki pervi aur docry omedon ka phelao.

Khowaheshon ki pervi vo chez hy jo haq sy rok dyti hy.
Aur
Omedon ka phelao aakhrat ko bhola dyta hy.

HZRAT MOLA ALI A.S

Nehjlblaga
p#175

           929


TA HASHAR YEH KHYAAL MERE DIL KA CHAIN HAI
"MOHSIN" MERI NIJAAT KA ZAAMIN HUSSAIN A.S HAI

           930


ZIKR-E-HUSSAIN KARNA RAZA-E-RASOOL S.A.W.W HAI.
RASOOL S.A.W.W KA NAWASA LADLA HUSSAIN HAI.
BABA ALI A.S HAIN TO MAADAR BATOOL S.A HAIN.
BS BAGH-E-MUSTAFA K DO HI TO PHOOL HAIN.
SAR KO KATA DIYA NA JHUKEY YAZEED K SAAMNE.
YE TAKHT-O-TAJ SHABBIR K KADMON KI DHOOL HAI.
HAIN HM HUSSAINI YE SUNLE DUSHMANAN-E-ALI.
HM KO ISHQ-E-HUSSAIN ME MARNA B QABOOL HAI.

           931


Lafzon Mai Kiya Likhun
“SHAHADAT-e-HUSSAIN”

Mohsin…

...Qalam Bhi Mera Ro Daita Hay “KARBALA” Ka Manzer Soch Kar

           932


mehshar main ye kahe ga khuda aao shekh ji
ye to batao ajre risalat main kiya kiya

sajdon ke tumne laien laga di hai dur tak
khak-e-shifa pe ek bhi sajda nahi kiya

           933


Matam e sh0q ko khud se Juda nahe karte

Hum Apne Dil pa Kabhi ye jafa nahe karte

ALI ka Ishq ek aesi namaz Hai jisko

Kisi b haal main m0min Qaza nahe karte..

           934


aankhon ka wazu karte hain shabbir ke gham se,

zakhmon ko rafu karte hain shabbir ke gham se,

tum saal ka aaghaz karte ho gunah se,

hum saal shuru karte hain shabbir ke gham se.

           935

RASOL(s.a.w.w) ny frmya :

Fiizza main koi parinda paar nahi marta magar Hamaray pass oss ka ilm

hota hy.

( Ref: Ayoun Akhbar-ul-Reza )

           936


Shokhi Py Utar Aayen Hain Is Dour k Mulla
Lagta Hai k Salman a.s Inhain Yad Nahi Hai
Sooli Se Daratay Hain Ye Shiyan e Ali Ko
Kia Maisam e Tammar Inhain Yad Nahi Hai

           937


"Kisi insan ki khubi ko pehchano or usy bayan kro,

Lekin agr kisi ki khami mil jae to yahan tumhari khubi ka imtehan hai,

"MOLA ALI"A.S"

           938


HAi Marqad e HussaiN a.s Tamanna e Akhri
JanNat Bhi Gar Milay To Na Len KARBALA K Bad

           939


Qalam Ny Seekha Hai Ye Wazeefa, Dua Se Pehlay HussaiN a.s Likhna
Mere Azizon Kafan Py Mere, Qaza Se Pehlay HussaiN a.s Likhna
NAmaz Boli Azan Boli, Kisi Ki Kat Kar Zubaan Boli
Sada Lagao Ali a.s Ali a.s Ki ,Sada Se Pehlay hussaiN a.s Hussain a.s

           940

Wo Noor Jisko Shah e MashraQain Kehty Hain
Usi Ko Noor e Khuda j.j Noor e Ain Kehty Hain
Bikhar Gaya To Wohi Noor Kainaat Bana
Simat Gaya To Usi Ko HussaiN a.s Kehty Hain

           941


SAjday Mai Mehve Raaz Thy JAb Be Niaz Se
Bethay HussaiN a.s pusht e Mohammad saww Py Naaz Se
Sajday ko Dy k Tool Ye Bat'la Gaye Rasool saww
Logon Mera HussaiN a.s Hai Afzal NamaZ Se

           942


Ho Ba Amal To Shoq Se Naam e HussaiN a.s Lo
Gar By Amal Ho Daman e Sarwar a.s Ko Chor Do
Hum Shakal e Mustafa Se Agar Piyar Hai Tumhain
Sun Kar Sada AzZan Ki Bistar Ko Chor Do

           943


Sajday Mai Sar Katanay Par Ibadat Naaz Karti Hai
Khoon Se Wazoo Jo Kar Lo To Taharat Naaz Karti HAi
Shaheedon Ko To Aksar Naaz Hota HAi Shahadat Par
Hussain Ibn e Ali a.s Tujh Par Shahadat Naaz Karti HAi

           944


Mujhay Tareekh MAi "Lakriyon" "Phataron" K "Mimber" Py Bohat Khateeb

Milay MohsiN
MAgar Khuda Ki Tareef Karty Huwe Nezay k Mimber Py Sirf Ek HussaiN a.s

Mila.

           945


Sun Kar Teri Zubaan Se Naizay Ki Nouk Par
Lutf Aagaya Khuda Ko Bhi Apnay Kalam Ka

           946


Yun hi Islam k Paikar Mai Mazbooti Nahi Aai
Bari Anmol Janay Di Hain Aulaad e Pyghamber saww Ny

           947


Zikar e Hussain Aaya To Aankhain Chalak Paren
Kitna Piyar Hai Paani Ko Ab Bhi HussaiN a.s sy

           948
...::: SaFeer-E-Aza
    SMS CLUB :::...

YA HUSSAIN (a.s) TERA MATAM KAR KAR K MAR JAOGA
NAAM LONGA ALI (a.s) KA PHR SE ZINDA HO JAOGA

           949


Mere Siwa Sar e Maqtal Muqaam Kis Ka Hai
Kaho k Ab Lab e Qatil Py Naam Kis Ka Hai?

Humari Laash Py Na Dhundo Ungliyon k Nishaan
Humain Pata Hai Azizo Ye Kaam Kis Ka Hai

Wo Mutma'en Thy Bohat, Qatal Kar k Mujh Ko
Magar Ye Zikar e Wafa Subah o Sham Kis Ka Hai?

           950



Duniya Ko Ek Naqsh e Wafa Dy Gaye HussaiN a.s
Bazm e Jiha Ko Rasm e AzZa Dy Gaye HussaiN a.s

Ilm o Amal Ka Husn o Tadabur Ka Imtizaj
Jazbo Ko Marfat Ki Ada Dy Gaye HussaiN a.s

Ek Ajzo Inksar k Paikar Mai Sar Ba Sar
Mazloom Ko Waqar e Ana Dy Gaye HussaiN a.s

Marty Nahi Hain Wo Jo Shaheedan e Ishq Hain
Sun Ly Zamanay Tujhko Saada Dy Gaye HussaiN a.s

Duniya K Sab Yazeed Hain Nakam o Na'Muraad
Deen e Mohammadi Ko Baqa Dy Gaye HussainN a.s

Rakh k Labon Py Jam e Shahadat
JanNat Ka Pata Dy Gaye HussaiN a.s

   

     951


Dekh Kar Nezay Py Teri Haq Bayani Ya HussaiN a.s
Hai Yazeediyat Abhi Paani Paani Ya HussaiN a.s

PathaRon Ka Bhi Kaleja Sun k Ho Jata Hai MoM
Tere Akbar a.s Tere Asghar a.s Ki Kahani Ya HussaiN a.s

Jab Kahin Selaab Aaya Hai To Ye Samajhta Hun MAi
Dhondta Phirta Hai Ab Bhi Tujhko Paani Ya HussaiN a.s

           952


 Ya RAB Koe MiL Jaey Na Pehchanay WaLa
 Bazar Main SAJJAD Dua Maang Raha Hay

 Tarekh Ne Ghirat Ka KHUDA Likha Hy Js Ko
 Har Mor Py ZAiNAB Ke Rida Mang Raha Hy

           953


ZAiNAB Nay Kaha Haey Mera ABiD'e Muztar
 Kanton Pay Ta Shaam ChaLa ABiD'e Muztar

           954


aisa ghareeb hai mera choutha (4) imam logon,
taboot per phoolon ki nahi zanjeer ki chader hai

           955


dakhal kuch isme na taqdir na tadbir ka hy...
dab daba asl mian ye ABID E DILGEER ka hai..
.bus is khof se zalim ne pehnai zanjeer.
laakh bemar sai,khoon to SHABBIR ka hai
salaam ya imam zain ul abideen a.s

           956


Naam-e-Mohammad se Khushbu-e-wafa aati hai ,
Unke rauze se ummati ummati ki sada aati hai,
Kash baithe hum madine ki galiyo me,
Kehte hai waha jannat se hawa aati hai...!!!!

           957


Gham e Hussain ibn e Ali(as) ka jab samandar ban gaya,
Aalam e tashnalabi may houz e kausar ban gaya.
Tha bahut mayoos Rahib gardish e haalaat say,
Jab dar e Shabbir(as) par aaya muqaddar ban gaya.

           958


"Allah Ta'ala Ne Arsh Par Kuch Aise Farishte Paida Kiye Hain
Jin Ka Khana Peena Muhammad o Al_Muhammad 's' Par
Durood Bhejna Hain Or Un K Muhibon K Liye Astagfar Karna Hain"...

Hazrat Imam Jaffar Sadiq as
Book: Usool_Kafi
Juld: 22

                            959

Rasule Khuda (saww):

Oos waqt Musalmaan aur Kaafir mein koi farq nahi rehta jab Musalmaan jaan bujh kar waajib Namaz tark (skip) kare ya usay kam ehmiyyat (low-importance) samajh kar na padhe.

(Iqaabul Aamaal, p497)


                             960

 Imam Sadiq (as):

Jab tum kisi neki ka irada kar lo to usme taakhir (delay) na karo, kyun ki baaz auqaat Khuda Wande Aalam Apne bande ki taraf oos haalat mein nigaah karta hai ke wo Uski ita'at mein masroof hota hai. Ye dekh kar Allah Ta'ala farmata hai, "Mujhe Apni izzat o jalaal ki qasam! Iske baad Main tujhe azaab nahi doo'nga".

(Meezan ul Hikmah, v3, p396)

                               961

Rasule Khuda (saww):

Jo shakhs Halaal o Haraam se mutalliq hamari Ahadees mein se 40 Hadeesein Hifz (memorise) kar le to Qayamat ke din Allah usay Aalim e Faqih mehshoor karega aur usay azaab nahi hoga.

(Khisaal, p336)

                                  962


Rasule Khuda (saww):

Agar koi kisi Muslim ko Qarz lautane ke liye zabardasti na kare to wo Pool e Siraat se palak jhapakte guzrega aur Hisaab, Azaab na hoga.

(Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal)

                                       963


Imam Kazim (as):

Jo shakhs apne gusse ko logo'n se rok le, Khuda Qayamat ke din oos se Apna azaab rok lega.

(Guftaar e Dil Nasheen, p173)


                                   964

Imam Kazim (as):

Aye Ibn e Ammar! Surah 'Tabaarakal Lazi Nazzalal Furqaana 'Alaa 'Abdeh" (Surah Furqaan) ki tilawat tark na karo. Jo bhi har raat iski tilawat karega Khuda usay koi azaab na dega aur uska muhaseba (hisaab) na hoga aur uski manzil Firdous e A'ala mein hogi.

(Sawaabul Aamaal o Iqaabul Aaamal, p233)


                              965

Rasule Khuda (saww):

Jo shakhs Khuda ki khushi ke liye apne Musalman bhai ki haajat poori karne ki KOSHISH karta hai, Allah uske liye 10 laakh nekiyaa'n likhta hai.

(Meezan ul Hikmah)


                              966


Imam Sadiq (as):

Jo shakhs apne biradar e Islaami ki kisi haajat poori karne ki KOSHISH aur jadd o jahed kare aur Khuda uske haatho’n uski haajat baraari likh de to Khuda Wande Aalam uske liye ek Hajj o Umrah aur Masjidul Haraam (Makkah) mein 2 maah Etekaaf baithhne ka sawaab likh deta hai.

(Wasaail ush Shia, v7, p311)



                                  967


 Rasule Khuda (saww):

Jo shakhs apne Momin bhai ki ek haajat poori karne ki KOSHISH karta hai, to jaise usne 9000 saal din mein Roze rakhkar aur raat ko Namaz padh kar Allah ki Ibadat ki.

(Meezan ul Hikmah)


                                 968


Rasule Khuda (saww):

Wo jo apne Musalman biradar ki haajat poori karta hai, usne jaise apni poori zindagi Allah ki khidmat ki.

(Nahjul Fasaha)


                                           969


 Imam Sadiq (as):

Ek Musalman ki haajat poora karna Khana e Kaaba ke ird-gird 70 dafaa Tawaaf karne se zyada sawaab milta hai.

(Aasmani Nasihatein, v1, p44)



                                            970

 Imam Sadiq (as):

Jo Khana e Kaaba ka Tawaaf 7 din kare to Allah uske naama e aamal mein 6000 nekiyaa'n likhta hai aur 6000 gunah mitaata hai aur 6000 darje buland karta hai. Phir aap ne farmaya: Momin ki haajat ko poori karna afzal hai Tawaaf se, Tawaaf se…(10 baar farmaya).

(Al Kaafi, v4, p108)


                                   971

Mola Ameer ul momineen(a.s) ka irshad

"Hakeemana  baat se khamoshi ikhtiyaar karne me koi bhalayi nahi, jis tarha jahalat ki baat me koi achayi nahi"

Ref
Nehj ul balagha
Hadees no. 182
Pg. 863

                               972

Mola Ali(a.s) ka irshad

"Yeh insaaf nahi hai ke sirf zan o gumaan par aitimaad kar ke faisa kia jaye"

Ref
nehj ul balagha
hadees no. 220
Pg. 871


                             973

Farman e Hazrat Ali  (a.s)

"Allah ki azmat ka ehsaas tumhari nazron me kainaat ko hakeer o past karde"

ref
nehjul balagha
hadees no. 129
pg. 844


                              974
     
 Irshad e Mola Ali(a.s)

"hikmat ki baat jaha kahi ho, usay hasil karo, kiun ke hikmat munaafiq ke seene me bhi hoti hai lekin jab tak us ki zaban se nikal kar momin ke seene me pohunch kar doosri hikmaton ke sath behl nahi jati tarapti rehti hai"

ref
nehj ul balagha
hadees no. 79
pg. 837

                              975


Hzt.Ameer al-Mo'mineen*
*Imām ‘Alī ibn Abī Tālib (عليه السلام) Ne Farmaya :

"Tum Par Wajib Hai ke Gheebath Se Parhez Karo,*
*Kyonke Gheebath Logon Ko Tumhari Dushmani Par Aamada Karti Hai, Aur Tumhare 'Ajr' Ko Barbaad Kardeti Hai".*

Ref:-
```Tajalliat-e-Hikmat, Chapter'161, Hadees'9, Page'366```



                            976


Hzt.Imam Ali (AS):

Tum achcha karo aur zamana tum ko bura samjhe ye tumhare haq mein behtar hai baja'aye iske ke tum bura karo aur zamana tum ko achcha samjhe.
Ref:-
```Aqwaal e Masoomeen (AS), Page'100```


                              977

Rasoole Khuda (S.A.W.S) :

Jis Ghar Mein Mehmaan Wa Rishtedaar nahi aate wahaan Farishte bhi nahi aate, kyonki hasad aur Jalan apne rishtedaron se rakhne Waale duniya toh haasil karlege magar apni aakherath bigadh lege.
Ref:-
```Meezan Ul Hikmah, V'5```


                                       978

Hzt.Imam Sadiq (AS) :

Jab Mayyat Ko Qabr Mein Utaarne Lago Toh Narmi Ke Saath Utaaro,
Aur jab lahed mein rakh chuko to mayyat ka sabse zyada qareebi rishtedaar (Qabr mein utar kar aur) mayyat ke sar ke paas baith kar pehle Khuda ka naam le (Bismillah padhe), phir Paigambar e Akram (saws) aur unki Aal (as) par Durood padhe, Shaitan se panaah maange (Auzobillah padhe), Surah Fatiha, Surah Falaq, Surah Naas, Surah Ikhlaas, Ayatul Kursi padhe, Aur agar uska rukhsaar kafan se ba'ahar nikaal kar khaak par rakh sakey to aisa kare, phir Shahadatain padhe aur naam ba naam Aaimma e Tahereen (as) ka (12 Imamo'n ka) Sahib uz Zamaan (atfs) tak zikr kare.
Ref:-
```Wasail Us Shia,
 V'2, Page'254```



                      979


Hzt.Imam Sajjad (AS) :
Se Kuch Logo'n Ne Kaha
Ya Maula, Mehengaai Bahoth Hai", Imam (AS) Ne Kaha "Hone do; Allah (jjh) Aur Zyada Ata'a Karega".
Ref:-
Moral Values of Quran
 PG:-169

         
                              980


Imam Sadiq (as) "Jo Shakhs Azaan Aur Iqamat Keh Kar Namaz Padhe Uske Pichhe Malaika Ki 2 Safein (2 Rows) Namaz Padhti Hain Aur Jo Baghair Azaan Ke Sirf Iqamat Keh Kar Namaz Padhe Uske Pichhe Malaika Ki Sirf 1 Saf Namaz Padhti Hai. Uss Saf Ki Miqdaar (Vistaar) Kam Az Kam Mashriq o Maghrib (East To West) Ke Darmiyaani Faasle Ke Barabar Aur Ziyada Se Ziyada Zameen o Aasmaan Ke Darmiyaani Faasle Ke Barabar..
Ref;-
Wasaail ush Shia, v4, p.43



                             981


Hzt. Imam ALI (a.s) :

Aasman se zameen par girnewala *baarish ka har Qatra 15 hazar baar  meri wilayat Ke munkiron per  la'anat karta hai*
phir
zameen Usey Apne upar Gira'ana Pasand Karti hai.

Roh ul Hayat.
Allama Baqir  Majalsi a.r  PG ,152.



                            982

Hzt.  Imam Ali (as) :

Chhote bachche ko jo bimari aati hai, wo uske waaledain ke gunaho'n ka kaffara hoti hai.*
(Wasaail ush Shia, v15, p102)


                              983


Imam Sadiq (as):

Jo shakhs apne Momin bhai / dost ki Ek haajat puri karega to Allah (swt) ba roz e Qayamat uski Ek laakh haajatein poori farmayega.

(Meezan ul Hikmah, v1)


                             984


Imam Sadiq (as):

Momin ki haajat poori karna behtar hai 1000 qubool-shuda Hajj se, 1000 ghulaam Khuda ki raah mein azaad karne se aur zeen o lagaam sameyt 1000 ghodey (horses) Khuda ki raah mein dene se.

(Amaali - Shaikh Sadooq, p229)


                                985


Imam Sadiq (as):

Ek Momin ki haajat ko poora karna, Khuda ko 20 Hajj se zyada mehboob hai ke jis Hajj mein Ek laakh Dirham raah e Khuda mein kharch hota ho.

(Aasmani Nasihatein, v1, p44)


                         986

Imam Sadiq (as):

Momin ki haajat poori karna behtar hai 1000 gulaam azaad karne aur 1000 ghodo'n (horses) par Fee Sabeelillah khairaat ka samaan baar karne se.

(Al Kaafi, v4, p106)

       
                           987


 Imam Ali (as):

Apni haajat ke liye ghar se nikalte waqt Surah Aal e Imran ki aakhri Ayat aur Ayatul Kursi aur Surah Qadr aur Surah Fatiha padh kar niklo. Is se Duniya aur Akherat ki haajaat poori hongi.

(Hadiyat ush Shia, p608

                         988

 Allah (swt):

Apne Amal ko Khaalis (sincere) kar aur phir tu sawaal bhi na kar, pus Main tum ko oos se bhi zyada ata karunga jo ke sawaal karne waale talab karte hain.

(Hadees e Qudsi (Urdu), p19)


                              989

Allah (swt):

Aye Musa! Mujhse maango jo bhi tumhari zarurat ho, hatta ke tumhare dumbe ke liye chaara ho ya tumhare khaane ke liye Namak.

(Al-Hadith Al-Qudsi)


                                 990

 Imam Ali (as)

se puchha gaya ke lafz 'ALLAH' ki tashreeh (explanation) kya hai? Aap ne farmaya, "Haajaat (zarurat) ke waqt jab tamaam zaahiri ummeedein toot jaayein aur asbaab (maadhyam / sources) munqata (cut-off) ho jaayein to oos waqt jis ki taraf rujoo kiya jaata hai wo 'Allah' hai".

(Tafseer Noor us Saqlain, v3, p190)


                                   991

Imam Sadiq (as)

se sawaal kiya gaya ke (Allah ke) Waahid hone ki kya daleel hai? Aap ne farmaya, "Ye ke Usko makhlooq ki nahi, makhlooq ko uski haajat hoti hai."

(Meezan ul Hikmah, v3, p197)


                                     992

Rasule Khuda (saww):

Jo Musalman koi cheez kaasht (kheti) karta hai ya darakht lagaata hai aur oos se parinde ya insaan khaayein, to kheti karne wale ki taraf se Sadqa shumaar hota hai.

(Aasmani Nasihatein, v1, p68)


                          993

 Imam Reza (as):

Jis shakhs ke yahaa'n aulaad na paida hoti ho wo Doodh mein Shahed (honey) milaa kar piya kare.

(Tibb e Imam Reza (as), p61)


                                       994

 Imam jafare sadiq ( a.s ) :

 Anar  khanay say 40 din tak dil nurani hojata hay.

 ( ref. Osulay kafi.jild 6. Pg 354.)

                                  995


Mola Ali ( a.s)

 (Namaz) 'shaytan' ke hamlo say bachnay ke liye qillah hay.

( ref. Aqwale Ali (a.s.) pg.318)

                                       996

Imam Ali (as):

Khuda ki nazdeeki Oos se Sawaal karne / Maangne se haasil hoti hai aur logo'n ki nazdiki unse Sawaal na karne se haasil hoti hai.

(Meezan ul Hikmah, v2)


                                  997

Rasule Khuda (saww):

Yaqeenan kuchh bande aise bhi hain jinhe logo'n ki haajat poora karne ke liye paida kiya gaya hai.

(Hadiyat ush Shia, p34)

                                     998

 Imam Ali (as):

Tumhari aabru salaamat hai aur sawaal (kisi se maangna) usay mita deta hai, lihaza ye dekhte raho ke kiske saamne haath phailaa rahe ho aur aabru ka sauda kar rahe ho.

(Nahjul Balagah)


                          999


Imam Sadiq (as):

Apni haajat ko chhor dena behtar hai kisi gair / na-aehl se maange ke.

(Tuhaf ul Uqoul)


                               1000

Imam Ali (as):

Zarurat poori na hona kisi na-aehl (na-munasib / unsuitable) se maangne ke muqable zyada aasaan hai.

(Nahjul Balagah)

           Iltemase Dua
        🅰fser 🅰li
اللَّهمَّﷺصَلِّﷺعَلَىﷺمُحمَّــــــــدٍﷺوآلﷺِمُحَمَّد

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

YA ALI MADAD SMS ☆ 301《》400

YA ALI MADAD SMS ☆801《》900

YA ALI MADAD SMS ☆ 601《》700